Abdul Aziz Fitrat

KHamosh kali sare gulistan ki zaban hai

Abdul Aziz Fitrat

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1905-1968
ḳhāmosh kalī saare gulistāñ kī zabāñ hai
ye tarz-e-suḳhan ābrū-e-ḳhush-suḳhnāñ hai
jo baat ki ḳhud mere takallum pe garāñ hai
vo terī samā.at ke to qābil hī kahāñ hai
har zarra pe hai manzil-e-mahbūb kā dhokā
pahuñche koī is bazm tak un kā hī kahāñ hai
insān ne asrār-e-jahāñ faash kiye haiñ
soyā huā ḳhurshīd hai zarra nigarāñ hai
'fitrat' dil-e-kaunain kī dhaḌkan to zarā sun
ye hazrat-e-insāñ hī kī azmat kā bayāñ hai
Top Urdushayar.com