Raunaq Raza

umr bhar pesh-e-nazar mah-e-tamam aate rahe

Raunaq Raza

umr bhar pesh-e-nazar māh-e-tamām aate rahe
chand chehre ā.īna-ḳhāne ke kaam aate rahe
chand qatre bhī na Tapke ḳhvāhishoñ kī ret par
kaise kaise abr the bālā-e-bām aate rahe
mere maazī ke ufuq par chand jugnū the ki jo
haal kī tīra-shabī meñ mere kaam aate rahe
maiñ havas ke gird chāhat kā hunar bantā rahā
us ke ḳhat merī vafādārī ke naam aate rahe
haa.e vo shīrīñ tamannā aur vo tiflāna ḳhū
ham sadā jis ke liye ḳhud zer-e-dām aate rahe
tum hisār-e-vaqt meñ sūraj bane baiThe rahe
aur gardish ke liye ḳhud sub.h o shaam aate rahe
umr bhar ḳhvāboñ kī manzil kā safar jaarī rahā
zindagī bhar tajraboñ ke zaḳhm kaam aate rahe
Top Urdushayar.com