Zubair Rizvi

dil ke tatar mein yaadon ke ab aahu bhi nahin

Zubair Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1935-2016
dil ke tātār meñ yādoñ ke ab aahū bhī nahīñ
ā.īna māñge jo ham se vo parī-rū bhī nahīñ
dasht-e-tanhā.ī meñ āvāz ke ghuñgrū bhī nahīñ
aur aisā bhī ki sannāTe kā jaadū bhī nahīñ
zindagī jin kī rifāqat pe bahut nāzāñ thī
un se bichhḌī to koī aañkh meñ aañsū bhī nahīñ
chāhte haiñ rah-e-mai-ḳhāna na qadmoñ ko mile
lekin is shoḳhi-e-raftār pe qaabū bhī nahīñ
talḳhiyāñ niim ke pattoñ kī milī haiñ har sū
ye mirā shahr kisī phuul kī ḳhushbū bhī nahīñ
jaane kyā soch ke ham ruk ga.e vīrānoñ meñ
partav-e-ruḳh bhī nahīñ sāya-e-gesū bhī nahīñ
husn-e-imroz ko tashbīhoñ meñ tauleñ kaise
ab vo pahle se ḳham-e-kākul-o-abrū bhī nahīñ
ham ne paa.ī hai un ash.ār pe bhī daad 'zubair'
jin meñ us shoḳh kī tārīf ke pahlū bhī nahīñ
Top Urdushayar.com