Zubair Rizvi

bichhaDte damanon mein phul ki kuchh pattiyan rakh do

Zubair Rizvi

Amroha, Uttar pradesh, India

1935-2016
bichhaḌte dāmanoñ meñ phuul kī kuchh pattiyāñ rakh do
ta.alluq kī girāñbārī meñ thoḌī narmiyāñ rakh do
bhaTak jaatī haiñ tum se duur chehroñ ke ta.āqub meñ
jo tum chāho mirī āñkhoñ pe apnī uñgliyāñ rakh do
baraste bādaloñ se ghar kā āñgan Duub to jaa.e
abhī kuchh der kāġhaz kī banī ye kashtiyāñ rakh do
dhuāñ cigarette kā botal kā nasha sab dushman-e-jāñ haiñ
koī kahtā hai apne haath se ye talḳhiyāñ rakh do
bahut achchhā hai yaaro mahfiloñ meñ TuuT kar milnā
koī baḌhtī huī duurī bhī apne darmiyāñ rakh do
nuqūsh-e-ḳhāl-o-ḳhad meñ dil-navāzī kī adā kam hai
hijāb-āmez āñkhoñ meñ bhī thoḌī shoḳhiyāñ rakh do
hamīñ par ḳhatm kyuuñ ho dāstān-e-ḳhāna-vīrānī
jo ghar sahrā nazar aa.e to us meñ bijliyāñ rakh do
Top Urdushayar.com