rāste  ke  pech-o-ḳham  kyā  shai  haiñ  sochā  hī  nahīñ
ham  safar  par  jab  se  nikle  muḌ  ke  dekhā  hī  nahīñ
do  ghaḌī  ruk  kar  Thahar  kar  sochte  manzil  kī  baat
rāste  meñ  koī  aisā  moḌ  aayā  hī  nahīñ
zindagī  ke  saath  ham  nikle  the  le  kar  kitne  ḳhvāb
zindagī  bhī  ḳhatm  hai  mausam  badaltā  hī  nahīñ
ik  diyā  yādoñ  kā  thā  raushan  thī  jis  se  bazm-e-shab
jaane  kyā  guzrī  ka.ī  rātoñ  se  jaltā  hī  nahīñ
zindagī  bhar  pai-ba-pai  ham  ne  kurede  apne  zaḳhm
ham  se  chhuT  kar  us  pe  kyā  guzrī  ye  sochā  hī  nahīñ
aarzū  thī  khīñchte  ham  bhī  koī  aks-e-hayāt
kyā  kareñ  ab  ke  lahū  āñkhoñ  se  Tapkā  hī  nahīñ
is  tarah  kaise  ho  'ajmal'  chāra-e-dil  kī  ummīd
dard  apnā  āḳhirī  had  se  guzartā  hī  nahīñ