har  ghaḌī  rahtā  hai  ab  ḳhadshā  mujhe
pī  na  jaa.e  vaqt  kā  dariyā  mujhe
go  haqīqat  thā  magar  ai  zindagī
ḳhvāb  sā  tū  ne  sadā  dekhā  mujhe
jab  bhī  miltā  huuñ  vahī  chehra  liye
bad-duā  detā  hai  ā.īnā  mujhe
chhoḌ  aayā  huuñ  sulagtī  ret  meñ
jaane  kyā  kahtā  ho  naqsh-e-pā  mujhe
us  ke  dil  meñ  ḳhud  vafā  nā-paid  thī
dostī  kī  bhiik  kyā  detā  mujhe
Dūbtī  bujhtī  huī  āvāz  huuñ
saath  vaalo  ġhaur  se  sunñā  mujhe