tirī  nazar  bhī  nahīñ  harf-e-mudda.ā  bhī  nahīñ
ḳhudā-gavāh  mire  paas  kuchh  rahā  bhī  nahīñ
hazār  manzil-e-ġham  se  guzar  chuke  lekin
abhī  junūn-e-mohabbat  kī  ibtidā  bhī  nahīñ
ġham-e-firāq  ye  shab  kis  tarah  se  guzregī
ki  ab  to  aas  kī  mauhūm  sī  ziyā  bhī  nahīñ
na  jaane  kis  liye  ab  bhī  hai  dil  se  baḌh  ke  aziiz
siyāh-dil  bhī  nahīñ  aur  pārsā  bhī  nahīñ
jo  sach  kahūñ  to  mohabbat-shi.ār  'ajmal'  meñ
hazār  aib  sahī  aadmī  burā  bhī  nahīñ