har  ujālā  na.ī  sahar  to  nahīñ
raat  kī  umr  rāt-bhar  to  nahīñ
aadmī  chand  gaam  baḌh  na  sake
zindagī  itnī  muḳhtasar  to  nahīñ
ik  ujālā  sā  saath  rahtā  hai
sochtā  huuñ  tirī  nazar  to  nahīñ
ek  hañgām  hai  bayābāñ  meñ
koī  āmāda-e-safar  to  nahīñ
vaqt  be-shak  aziim  hai  lekin
mujh  se  tujh  se  azīm-tar  to  nahīñ
duur  kuchh  saa.e  se  haiñ  sahrā  meñ
rāh-e-gum-karda  ham-safar  to  nahīñ
aap  jo  bhī  kaheñ  vo  sach  'ajmal'
aap  ab  itne  mo'atabar  to  nahīñ