do  pal  ke  haiñ  ye  sab  mah  o  aḳhtar  na  bhūlnā
sūraj  ġhurūb  hone  kā  manzar  na  bhūlnā
kitnī  tavīl  kyuuñ  na  ho  bātil  kī  zindagī
har  raat  kā  hai  sub.h  muqaddar  na  bhūlnā
yādoñ  ke  phuul  ghar  se  uThā  kar  chale  to  ho
dekho  inheñ  kisī  jagah  rakh  kar  na  bhūlnā
maañ  ne  likhā  hai  ḳhat  meñ  jahāñ  jaao  ḳhush  raho
mujh  ko  bhale  na  yaad  karo  ghar  na  bhūlnā
haq  par  agar  chaloge  to  har  aaḌe  vaqt  meñ
tum  ko  panāh  degī  ye  chādar  na  bhūlnā