ai  husn  jab  se  raaz  tirā  pā  ga.e  haiñ  ham
hastī  se  apnī  aur  qarīb  aa  ga.e  haiñ  ham
yuuñ  bhī  huā  ki  jaan  gañvā  dī  tire  liye
yuuñ  bhī  huā  ki  tujh  se  bhī  katrā  ga.e  haiñ  ham
rāh-e-vafā  meñ  aise  maqāmāt  bhī  mile
apnā  sar-e-niyāz  bhī  Thukrā  ga.e  haiñ  ham
yādash-ba-ḳhair  ik  gul-e-shādāb  the  kabhī
aisī  ḳhizāñ  paḌī  hai  ki  kumhlā  ga.e  haiñ  ham
sub.h-e-visāl  thī  to  tabī.at  thī  baaġh  baaġh
shām-e-firāq  aa.ī  to  sañvlā  ga.e  haiñ  ham
insān  terī  fat.h  pe  ab  bhī  yaqīn  hai
go  apnī  zindagī  se  bhī  ghabrā  ga.e  haiñ  ham
mahrūmiyoñ  kā  bār-e-girāñ  dosh  par  liye
ai  maut  sun  ki  tere  qarīb  aa  ga.e  haiñ  ham
apne  subū  meñ  talḳhī-e-daurāñ  sameT  kar
bā-sad-ḳhulūs  nosh  bhī  farmā  ga.e  haiñ  ham
tārīḳh-e-inqilāb-e-zamāna  se  pūchh  lo
jab  jab  sadā  milī  sar-e-dār  aa  ga.e  haiñ  ham
'ajmal'  jab  un  kī  bazm  meñ  chheḌī  hai  dil  kī  baat
apne  to  ḳhair  ġhair  ko  taḌpā  ga.e  haiñ  ham