dil  kis  se  lagā.ūñ  kahīñ  dilbar  nahīñ  miltā
kyā  zulm  sahūñ  koī  sitamgar  nahīñ  miltā
ḳhat  le  ke  gayā  jo  vo  kabūtar  nahīñ  miltā
kyā  zikr  kabūtar  kā  hai  ik  par  nahīñ  miltā
zulfoñ  kī  tarah  umr  basar  ho  ga.ī  apnī
ham  ḳhāna-ba-doshoñ  ko  kahīñ  ghar  nahīñ  miltā
kyā  ḳhaak  mudāvā  kareñ  shorīda-sarī  kā
sar  phoḌne  ko  DhūñDheñ  to  patthar  nahīñ  miltā
gunjalak  nahīñ  miTtī  jo  tabī.at  meñ  paḌī  hai
dil  tujh  se  kisī  taur  se  dilbar  nahīñ  miltā
kyā  kījiye  tārīf  binā  gosh  kī  us  ke
āveze  ko  jis  kaan  ke  gauhar  nahīñ  miltā
gum  jab  se  huā  huuñ  maiñ  tirī  rāh-e-talab  meñ
jab  DhūñDhtā  huuñ  aap  ko  akasr  nahīñ  miltā
kuchh  tālib-e-zar  but  hī  nahīñ  ġhaur  se  dekho
haq  yuuñ  hai  ki  allāh  bhī  be-zar  nahīñ  miltā
sūrat  nahīñ  miltī  tirī  sūrat  se  kisī  kī
gahne  se  kisī  ke  tirā  zevar  nahīñ  miltā
ārā.isheñ  mauqūf  huiiñ  kis  liye  ai  jaan
gauhar  nahīñ  miltā  hai  ki  zar-gar  nahīñ  miltā
abrū  kī  mohabbat  meñ  kise  ziist  hai  manzūr
mar  jā.ūñ  galā  kaaT  ke  ḳhanjar  nahīñ  miltā
rindān-e-mai-āshām  nahīñ  jaam  ke  pāband
ham  ok  se  piite  haiñ  jo  sāġhar  nahīñ  miltā
vahshat  meñ  nikal  jā.ūñ  maiñ  sarhad  se  zamīñ  kī
is  gumbad-e-gardāñ  kā  vale  dar  nahīñ  miltā
o  barq-e-tajallī  tire  kushte  kī  lahad  par
kyā  lauh  bane  tuur  kā  patthar  nahīñ  miltā
hāzir  huuñ  mujhe  basta-e-fitrāk-e-faras  kar
gar  said  koī  tark-e-sitamgar  nahīñ  miltā
āshiq  se  na  khīñch  aap  ko  ai  bādshah-e-husn
darvesh  se  kyā  jhuk  ke  tavañgar  nahīñ  miltā
jo  zaḳhm  ko  siine  ke  siye  Tāñke  jigar  ko
aisā  koī  ustād  rafūgar  nahīñ  miltā
ai  'rind'  labālab  ho  jo  irfān  kī  mai  se
sāġhar  vo  ba-juz  sāqi-e-kausar  nahīñ  miltā