gale  lagā.eñ  balā.eñ  leñ  tum  ko  pyaar  kareñ
jo  baat  maano  to  minnat  hazār  baar  kareñ
ye  haath  kaise  haiñ  be-kār  kuchh  to  car  kareñ
bahār  aa.ī  garebān  taar  taar  kareñ
kahāñ  se  laa.eñ  ab  us  ko  jo  ham-kanār  kareñ
tasallī  kyā  tirī  o  jān-e-be-qarār  kareñ
vo  rabt  tum  se  baḌhā.eñ  vo  tum  ko  yaar  kareñ
hazār  tarah  ke  jo  jabr  iḳhtiyār  kareñ
girā.e  sail-e-anāsir  kī  chaar  dīvārī
ḳharāb  ḳhāna-e-tan  chashm-e-ashk-bār  kareñ
tumhāre  dar  se  na  māyūs  jaa.eñ  hājat-mand
qubūl  hove  jo  tauba  gunāhgār  kareñ
kafan  bhī  ho  gayā  mailā  dhare  dhare  ai  maut
tamām  umr  huī  kab  tak  intizār  kareñ
ba-rañg-e-ġhuncha  zabāñ  hai  dahāñ  meñ  zer-e-zabāñ
tumhāre  qaul  kā  kyā  ḳhaak  e'tibār  kareñ
gadā  tire  dar-e-daulat  ke  haiñ  ye  mustaġhnī
jo  saltanat  bhī  mile  to  na  iḳhtiyār  kareñ
ġhurūr-e-husn  se  hargiz  sunegā  ek  na  gul
chaman  meñ  naale  agar  bulbuleñ  hazār  kareñ
sunā.e  rakhtā  huuñ  sab  ko  mirī  vasiyyat  hai
ki  tā  isī  pe  amal  mere  ġham-gusār  kareñ
charāġh-e-zīst  jab  us  nañg-e-dūdmāñ  kā  ho  gul
aziiz  sham.a  na  raushan  sar-e-mazār  kareñ
tire  sivā  hai  karīm  aur  rahīm  kis  kī  zaat
najāt  kis  se  talab  ham  gunāhgār  kareñ
bajā.e-surma  lagā.eñ  ġhubār-e-kūcha-e-yār
yahī  ilaaj  tirā  chashm-e-ashk-bār  kareñ
sitam-shi.ār  jafā-pesha  be-muravvat  hai
sarāhi.ye  jigar  un  ke  jo  tujh  ko  pyaar  kareñ
baḌhā  ke  likkheñ  na  shā.er  hadīs-e-zulf-e-rasā
huā  hai  tuul  munāsib  hai  iḳhtisār  kareñ
dar-e-karīm  se  aatī  hai  muttasil  ye  sadā
vo  kyuuñ  na  paa.e  jise  ham  umīd-vār  kareñ
ye  but  uThā.eñ  jo  qur.āñ  bhī  ka.abe  meñ  ai  'rind'
ḳhudā  se  ham  to  hoñ  munkir  jo  e'tibār  kareñ