aaj  inkār  na  farmā.iye  aap
shab  kī  shab  ghar  mire  rah  jā.iye  aap
jā.iye  ghar  ko  na  ghabrā.iye  aap
ham  na  mar  jā.eñge  bas  jā.iye  aap
khol  do  shauq  se  band  añgiyā  ke
leT  kar  saath  na  sharmā.iye  aap
aate  hī  kahte  ho  maiñ  jā.ūñgā
maiñ  bhī  aane  kā  nahīñ  jā.iye  aap
DhūñDhte  phiriye  agar  le  ke  charāġh
mujh  sā  āshiq  jo  kahīñ  pā.iye  aap
umr  bhar  to  na  qadam-ranja  kiyā
aa.iye  ab  to  na  tarsā.iye  aap
jān-e-mushtāq  laboñ  par  aa.ī
kuchh  vasiyyat  hai  vo  sun  jā.iye  aap
dil  samajhtā  nahīñ  mujh  se  nāseh
aap  se  samjhe  to  samjhā.iye  aap
sāya-sāñ  shauq  meñ  uftāñ-ḳhezāñ
saath  rahtā  huuñ  jidhar  jā.iye  aap
maiñ  dikhā.ūñ  jo  junūñ  kī  hai  sifat
shaan  be-rahmī  kī  dikhlā.iye  aap
TukḌe  TukḌe  maiñ  garebāñ  ke  karūñ
purze  purze  mire  āḌā.iye  aap
shaad  ho  ruuh  agar  ba.ad-e-fanā
sham-o-gul  gor  pe  bhijvā.iye  aap
jaan  sadqe  karūñ  kyā  maal  hai  jaan
kaaT  duuñ  sar  ko  jo  farmā.iye  aap
muñh  pe  muñh  rakkhā  to  bole  kyā  ḳhuub
pahle  muñh  apnā  to  banvā.iye  aap
ġhair  kaTne  lageñ  bañdh  jaa.e  havā
mujh  se  tukkal  agar  uḌvā.iye  aap
naam  tak  luuñ  na  kabhī  huuñ  vo  bashar
ab  agar  huur  bhī  ban  jā.iye  aap
haath  se  'rind'  ko  khote  ho  abas
kahīñ  aisā  na  ho  pachhtā.iye  aap