tū  aap  ko  poshīda  o  iḳhfā  na  samajhnā
maiñ  dekh  rahā  huuñ  mujhe  andhā  na  samajhnā
kam  sher-e-zhiyāñ  se  mirā  rutba  na  samajhnā
kuttā  huuñ  alī  kā  sag-e-duniyā  na  samajhnā
go  zaar  huā  huuñ  magar  imdād-e-junūñ  se
hai  dev  kī  tāqat  mujhe  murdā  na  samajhnā
ham-rāh  mire  rahtī  hai  har  dam  madad-e-ġhaib
lākhoñ  pe  huuñ  bhārī  mujhe  tanhā  na  samajhnā
bazm-e-ġham-e-shappīr  meñ  jo  chashm  se  nikle
har  ashk  ko  tasbīh  kā  ik  daana  samajhnā
jo  dil  ki  mubarrā  ho  mohabbat  se  jahāñ  kī
us  dil  ko  dilā  yaar  kā  kāshāna  samajhnā
naama  jo  likhā  hai  use  rakh  chhoḌiyo  sāhib
vo  ḳhatt-e-ġhulāmī  hai  navishtā  na  samajhnā
kāfir  huuñ  na  phūñkūñ  jo  tire  ka.aba  meñ  ai  shaiḳh
nāqūs  baġhal  meñ  hai  musallā  na  samajhnā
dīdār  dikhā  dījiye  ġhash  aa.eñ  to  aa.eñ
āshiq  huuñ  maiñ  āshiq  mujhe  muusā  na  samajhnā
rakhnā  na  tavaqqo.a  dil-e-nādāñ  tū  kisī  se
us  vaqt  meñ  apnoñ  ko  bhī  begāna  samajhnā
hāsil  nahīñ  samjhāne  se  nāseh  tū  samajh  to
kyā  samjhe  bhalā  ye  dil-e-dīvāna  samajhnā
bahkā  huā  āshiq  nazar  aa  jaa.e  jo  koī
is  chashm-e-fusūñ-sāz  kā  dīvāna  samajhnā
chāhūñ  to  nikal  jā.ūñ  abhī  pech  se  tere
uljhā  mujhe  o  zulf-e-chalīpā  na  samajhnā
sar  kaT  ke  jo  qadmoñ  pe  gire  rāh-e-vafā  meñ
ye  bhī  madad-e-himmat-e-mardāna  samajhnā
sehhat  tirī  mumkin  nahīñ  sun  rakh  dil-e-bīmār
ye  gorkan  aayā  hai  masīhā  na  samajhnā
har  haal  meñ  ḳhursand  huuñ  tum  ḳhush  ho  ki  nā-ḳhush
banda  huuñ  mujhe  āshiq-e-shaidā  na  samajhnā
pilvā  de  mai-e-hosh-rubā  dekh  mirā  zarf
saaqī  jo  bahak  jā.ūñ  to  dīvāna  samajhnā
aa  jaa.e  koī  Dher  agar  paaoñ  ke  nīche
ai  sham-ruḳho  marqad-e-parvāna  samajhnā
dekho  kisī  chehre  pe  jo  gesū  koī  bal-dār
af.ī  hai  use  zulf-e-chalīpā  na  samajhnā
juuyā  hai  agar  rutba-e-ālī  kā  jahāñ  meñ
adnā  se  bhī  ḳhud  ko  kabhī  aalā  na  samajhnā
ai  'rind'  na  Tiknā  kabhī  arbāb-e-vara.a  paas
mil  baiThnā  us  se  jise  rindāna  samajhnā