kyūñ-kar  na  laa.e  rañg  gulistāñ  na.e  na.e
gaate  haiñ  raag  murġh-e-ḳhush-alhāñ  na.e  na.e
shā.er  na.e  na.e  haiñ  suḳhan-dāñ  na.e  na.e
paidā  hue  haiñ  ab  to  ġhazal-ḳhvāñ  na.e  na.e
dilbar  matā-e-dil  ke  haiñ  ḳhvāhāñ  na.e  na.e
kartā  hai  husn  ishq  ke  sāmāñ  na.e  na.e
āseb-e-ishq  sar  se  utartā  nahīñ  mire
likhtā  hai  naqsh  roz  parī-ḳhvāñ  na.e  na.e
bahkā  ke  tum  ko  koī  lagā  le  na  raah  par
nikle  ho  aaj  ghar  se  mirī  jaañ  na.e  na.e
zoroñ  pe  haiñ  junūñ  kī  badaulat  hamāre  haath
hote  haiñ  taar  taar  garebāñ  na.e  na.e
har  roz  ek  vādī-e-nau  sair-gāh  hai
vahshat  dikhā  rahī  hai  bayābāñ  na.e  na.e
kis  darja  tañg  huuñ  tire  hāthoñ  se  ai  junūñ
lā.ūñ  kahāñ  se  roz  garebāñ  na.e  na.e
ġham  kā  guzar  hai  gaah  gahe  ḳhurmī  kā  daḳhl
aate  haiñ  roz  ghar  mire  mehmāñ  na.e  na.e
sūrat  se  ik  parī  kī  hameñ  ishq-e-tāza  hai
dīvāne  ham  hue  haiñ  sulaimāñ  na.e  na.e
har  martaba  zamāne  ko  hotā  hai  inqalāb
laatī  hai  svāñg  gardish-e-daurāñ  na.e  na.e
mulk-e-adam  hai  yā  koī  nañgoñ  kā  shahr  hai
har  roz  vaañ  se  aate  haiñ  uryāñ  na.e  na.e
ik  taaza  gul  kā  sāmnā  hotā  hai  har  baras
detā  hai  daaġh  dil  pe  gulistāñ  na.e  na.e
pāband  ik  maqām  ke  hote  nahīñ  haiñ  mard
sheroñ  ke  vāste  haiñ  niyastāñ  na.e  na.e
us  zulf  ke  ḳhayāl  meñ  āñkheñ  to  band  kar
dikhlā.ī  deñge  ḳhvāb-e-pareshāñ  na.e  na.e
kis  kis  tarah  se  chehre  pe  lahrā  ke  aatī  hai
kartī  hai  naaz  zulf-e-pareshāñ  na.e  na.e
āThoñ  pahar  hai  ab  to  tabāhī  kā  sāmnā
uThte  haiñ  roz  ashk  ke  tūfāñ  na.e  na.e
ro.egā  kohna-sālī  meñ  ahd-e-shabāb  ko
jab  TuuT  kar  na  nikleñge  dandāñ  na.e  na.e
phirtā  nahīñ  vo  dast-e-nigārīñ  kisī  tarah
kartā  hai  zor  panja-e-marjāñ  na.e  na.e
kar  sair  chashm-e-ġhaur  se  jo  zauq-e-sher  hai
mazmūñ  dikhā.egā  mirā  dīvāñ  na.e  na.e
hañs  hañs  ke  baar  baar  na  kyūñ-kar  dikhā.eñ  aap
nām-e-ḳhudā  nikāle  haiñ  dandāñ  na.e  na.e