nahīñ  qaul  se  fel  tere  mutābiq
kahūñ  kis  tarah  tujh  ko  ai  yaar  sādiq
na  jannat  ke  qābil  na  dozaḳh  ke  laa.eq
mujhe  kyuuñ  kiyā  ḳhalq  ai  mere  ḳhāliq
hue  hijr  meñ  vo  marz  mujh  ko  lāhiq
rahe  dañg  jis  meñ  atibbā-e-hāziq
bharosā  karam  par  hai  ham  āsiyoñ  ko
ġhazab  par  samajhte  haiñ  rahm  us  kā  faa.iq
faqat  kun.ha  zaat  us  kī  ab  tak  na  samjhe
hue  munkashif  aur  saare  daqā.eq
jhagaḌ  leñge  aapas  meñ  shaiḳh  o  barhaman
tujhe  kyā  bakheḌoñ  se  o  mard-e-āshiq
jo  ye  us  kī  rahmat  kī  tuġhyāniyāñ  haiñ
kujā  zohd-e-zāhid  kahāñ  fisq-e-fāsiq
kiyā  nafs  ko  mujh  pe  kyuuñ  tū  ne  ġhālib
na  thā  kyā  tirī  bandagī  ke  meñ  laa.eq
na  rakhnā  mujhe  apnī  rahmat  se  mahrūm
tirī  zaat  se  hai  ye  ummīd-e-vāsiq
na  taab  aa.egī  husn  kī  tere  ai  dost
maiñ  muusā  nahīñ  huuñ  jo  jalve  kā  shā.iq
tajarrud  kā  aalam  tujhe  kyā  burā  thā
huā  kis  liye  pā-e-band-e-alā.eq
shikāyat  kā  fiqara  zabāñ  tak  na  aayā
bahar-hāl  kartā  rahā  shukr-e-ḳhāliq
sar  o  chashm  se  maiñ  bajā  lā.ūñ  sāhib
jo  ḳhidmat  koī  hove  bande  ke  laa.eq
bhalā  kis  se  bahlāūñ  dil  is  chaman  meñ
na  sumbul  na  nasrīñ  na  gul  na  shaqā.iq
rūlāte  ho  āshiq  ko  be-vaj.h-o-bā.is
hañsnegī  mirī  jaan  tum  par  ḳhalā.iq
kiye  mo.ajaze  husn  ne  donoñ  yakjā
shab-e-tīra  gesū  jabīñ  sub.h-e-sādiq
kahā  sun  ke  afsāna-e-qai-o-lailā
abas  karte  ho  haal  meñ  zikr-e-sābiq
gayā  vo  zamāna  vo  log  uḌ  ga.e  sab
na  ma.ashūq  vaise  rahe  ab  na  āshiq
shunīdem  nām-o-nishānash  nadīdem
chū  anqāst  ma.adūm  yār-e-muāfiq
mirī  jaan  muddat  se  martā  huuñ  tujh  par
tire  chāñd  se  muñh  kā  āshiq  huuñ  āshiq
huā  rashk-e-lailā  kī  furqat  meñ  majnūñ
mirā  haal  aur  qais  kā  hai  mutābiq
abas  fauq  detā  hai  tū  ḳhud  ko  nādāñ
kiyā  ek  ko  ek  par  us  ne  faa.iq
vo  munshī  bane  qudrat-e-haq  to  dekho
jo  maktab  meñ  paḌhte  the  inshā-e-fā.iq
duā  hai  yahī  aur  yahī  hai  tamannā
najaf  meñ  mare  jā  ke  ye  'rind'-e-fāsiq