dīd-e-gulzār-e-jahāñ  kyuuñ  na  kareñ  sair  to  hai
ek  din  jānte  haiñ  ḳhātma-bilḳhair  to  hai
'rind'  vaa.iz  se  abas  karte  ho  shar  ḳhair  to  hai
donoñ  ghar  ek  haiñ  ka.aba  na  sahī  dair  to  hai
ḳhosha-chīñ  bantā  hai  kyuuñ  mazra-e-har-dahqāñ  kā
vasf-e-insān  nahīñ  ye  sifat-e-tair  to  hai
na  basar  hovegī  be-nashsha  qadah-ḳhvāroñ  kī
ho  agar  mai  kī  munādī  hai  falak  sair  to  hai
āshnā  bahr-e-mohabbat  ke  shanāvar  haiñ  sab
tū  bhī  us  aag  ke  dariyā  ko  agar  pair  to  hai
rind-o-vā.iz  ke  bakheḌoñ  meñ  bhalā  kaun  paḌe
sab  ko  ma.alūm  hai  in  donoñ  meñ  ik  bair  to  hai
murġh-e-dil  mardum-e-bīmār  pe  sadqa  kar  Daal
vāste  sehhat-e-jāñ  ke  amal-e-tair  to  hai
jaise  uḌtī  sī  sunī  hai  ḳhabar-e-qatl-e-safīr
pūchhtā  phirtā  huuñ  ik  ek  se  kyuuñ  ḳhair  to  hai
sāqiyā  chand  ghaḌe  mai  ke  qadah-ḳhvāroñ  meñ
sarf  lillāh  agar  hoñ  amal-e-ḳhair  to  hai
dar-guzar  hotā  hai  aur  hogā  ba-qadr-e-imkāñ
āḳhir-e-kār  ye  pā-posh-o-sar-e-ġhair  to  hai
kah  liye  'rind'  ne  sab  qāfiye  koī  na  chhuTā
añgrezī  magar  ik  qāfiya-e-fair  to  hai