chaḌhī  tere  bīmār-e-furqat  ko  tab  hai
bashiddat  qalaq  hai  nihāyat  ta.ab  hai
marīz-e-mohabbat  tirā  jāñ-ba-lab  hai
tajāhul  sitam  hai  taġhāful  ġhazab  hai
vo  aafat  hai  aafat  hai  aafat  hai  aafat
ġhazab  hai  ġhazab  hai  ġhazab  hai  ġhazab  hai
galī  yaar  kī  hai  qadam  rakhkhūñ  kyūñ-kar
chalūñ  sar  ke  bal  yaañ  maqām-e-adab  hai
jo  abrū  dikhāyā  to  aariz  bhī  dikhlā
vo  qur.ān  hai  ye  hilāl-e-rajab  hai
huī  sub.h-e-pīrī  kaTī  ab  javānī
ye  jalnā  faqat  sham.a-sāñ  shab  kī  shab  hai
vo  zulf-e-siyah  hai  ki  mushk-e-ḳhutan  hai
nahīñ  ḳhat  savād-e-dayār-e-halab  hai
khulā  kuchh  na  mujh  par  na  aane  kā  manshā
jihat  kuchh  to  farmā.iye  kyā  sabab  hai
jo  shajara  thā  majnūñ  kā  shajara  hai  merā
jo  thā  qais  kā  silsila  vo  nasab  hai
ġhanīmat  samajh  vaqt-e-fursat  ko  ġhāfil
na  haath  aa.egā  phir  ye  mauqa.a  jo  ab  hai
ḳhudā  kī  ḳhudā.ī  kā  jalva  hai  o  but
ye  husn-e-javānī  nahīñ  shān-e-rab  hai
karūñ  kyuuñ  na  sāmān-e-ishrat  muhayyā
shab-e-vasl-e-dilbar  urūsī  kī  shab  hai
jise  log  kahte  haiñ  shāh-e-ḳhurāsāñ
vo  be-shubah  ibn-e-amīr-e-arab  hai
ġhulām  us  kā  huuñ  jo  hai  kausar  kā  saaqī
jabhī  'rind'  mai-ḳhvār  merā  laqab  hai