ik  parī  kā  phir  mujhe  shaidā  kiyā
ishq  ne  phir  mufsida  barpā  kiyā
aaj  phir  us  shoḳh  ne  fuqarā  kiyā
va.ada-e-imroz  bhī  fardā  kiyā
ḳhūn-e-nāhaq  ik  musalmāñ  kā  kiyā
kyā  ġhazab  o  shoḳh-e-be-parvā  kiyā
dil  ko  maa.il  sho.ala-rūoñ  kā  kiyā
dīn-e-zardashtī  ko  phir  ahyā  kiyā
abr  akasr  us  baras  barsā  kiyā
kyā  tatabbo  dīda-e-tar  kā  kiyā
kyuuñ  ajal  kyā  tujh  ko  bhī  maut  aa  ga.ī
is  qadar  aane  meñ  kyuuñ  arsa  kiyā
kaan  kī  bijlī  jo  yaad  aa.ī  tirī
barq  ke  mānind  maiñ  taḌpā  kiyā
vo  kaf-e-pā-e-hinā.ī  kar  ke  yaad
hijr  kī  shab  eḌiyāñ  ragḌā  kiyā
us  ko  bhī  sakta  huā  dekh  ā.īna
der  tak  hairat  se  muñh  dekhā  kiyā
ḳhaak  chhānī  muddatoñ  tinke  chune
kyā  kahūñ  is  ishq  meñ  kyā  kyā  kiyā
kal  na  pāoge  hameñ  kahiyo  safīr
aaj  aane  meñ  agar  hiila  kiyā
vaañ  hue  missī  se  lab  un  ke  kabūd
piiT  kar  muñh  ham  ne  yaañ  niilā  kiyā
tab  uThe  haiñ  un  butoñ  ke  ham  se  naaz
jab  kalejā  apnā  patthar  kā  kiyā
hai  girah  mū-e-kamar  kī  nāf-e-yār
fikr  ne  apne  ye  uqda  vā  kiyā
laag  paidā  kar  ke  ab  jallād  se
jaan  khoī  haa.e  dil  ne  kyā  kiyā
dañḌ  pe  bāñdhā  ham  ne  joshan  kī  tarah
harz-e-jāñ  qātil  tirā  chhallā  kiyā
mujh  ko  majnūñ  kar  diyā  mānind-e-qais
sehr  kuchh  aur  ġhairat-e-lailā  kiyā
ma.arke  meñ  ishq  ke  sarkā  na  paañv
aabrū  ko  jaan  ko  sadqa  kiyā
soz-e-furqat  ne  sharārat  mujh  se  kī
haizam-e-tar  kī  tarah  sulgā  kiyā
ai  shab-e-furqat  na  kar  mujh  par  azaab
maiñ  ne  terā  muñh  nahīñ  kaalā  kiyā
zulf-e-jānāñ  jis  ne  dekhī  ek  baar
dil  se  apne  umr  bhar  uljhā  kiyā
is  musībat  se  shab-e-furqat  kaTī
paañv  piiTe  aah  kī  naala  kiyā
ishq  afshān-e-jabīn-e-yār  meñ
ḳhaak  chhalnī  kī  tarah  chhānā  kiyā
thā  munāsib  tark-e-ishq-e-yār  'rind'
aap  ne  ansab  kiyā  aulā  kiyā