rakkho  ḳhidmat  meñ  mujh  se  kaam  to  lo
baat  karte  nahīñ  salām  to  lo
mai  piyo  tum  surūr  ho  mujh  ko
haath  se  mere  ek  jaam  to  lo
baat  tum  ne  nahīñ  kī  ġhair  se  kal
sar  pe  allāh  kā  kalām  to  lo
banda  hotā  huuñ  aap  kā  be-dām
hove  darkār  agar  ġhulām  to  lo
nāz-o-andāz  husn-o-ḳhūbī  meñ
kaun  hai  tum  sā  us  kā  naam  to  lo
aap  farmā.eñ  jo  bajā  lā.ūñ
kabhī  mujh  se  bhī  koī  kaam  to  lo
muñh  se  aane  lagegī  itr  kī  bū
nām-e-gesu-e-mushk-e-fām  to  lo
pahle  kar  lo  rasā.ī  zulf  talak
silsile  ko  junūñ  ke  thaam  to  lo
phir  taḌap  lījiyo  giraftāro
dam  bhar  ārām  zer-e-dām  to  lo
mai  piyo  jo  nahīñ  pilāte  ho
mujh  ko  dete  nahīñ  ho  jaam  to  lo
nāz-bardār  dūsrā  mujh  sā
kaun  āshiq  hai  us  kā  naam  to  lo
'rind'  hāzir  haiñ  shīsha-o-sāġhar
mai  na  samjho  agar  harām  to  lo