na  añgiyā  na  kurtī  hai  jaanī  tumhārī
nahīñ  paas  koī  nishānī  tumhārī
huī  'rind'  to  zindagānī  tumhārī
yahī  hai  agar  nā-tavānī  tumhārī
ziyāda  huī  yaad  jaanī  tumhārī
ġharaz  qahr  hai  mehrbānī  tumhārī
na  bhūlūñgā  hargiz  na  bhūlā  huuñ  ab  tak
ināyat  karam  mehrbānī  tumhārī
shabīh  aap  kī  khīñch  degā  ye  maanā
adā  kis  tarah  khīñche  maanī  tumhārī
tabāh-o-ḳharāb  ik  jahāñ  ko  kiyā  hai
ḳhudā  kā  ġhazab  hai  javānī  tumhārī
vahī  kah  rahā  huuñ  jo  farmāte  ho  tum
mirī  guftugū  hai  zabānī  tumhārī
barābar  samajhte  ho  ġhairoñ  ke  mujh  ko
rahe  mehrbāñ  qadrdānī  tumhārī
dil  o  diida  lapkā  hai  phañsne  kā  tum  ko
kahāñ  tak  karūñ  pāsbānī  tumhārī
bas  ab  shakl  dikhlāo  be-jā  hai  ġhamza
bahut  sun  chuke  lan-tarānī  tumhārī
adam  ko  chalā  le  ke  dāġh-e-mohabbat
dikhā.ūñgā  sab  ko  nishānī  tumhārī
kiyā  imtihāñ  merā  sau  ma.arakoñ  meñ
vahī  hai  magar  bad-gumānī  tumhārī
jagā  kar  dil-e-zār  ne  hijr  kī  shab
sahar  tak  kahī  hai  kahānī  tumhārī
burā  gar  na  maano  to  sach  sach  maiñ  kah  duuñ
tum  achchhe  burī  bad-zabānī  tumhārī
karam  kījiye  aa.iye  hazrat-e-ishq
hai  ḳhūn-e-jigar  mehmānī  tumhārī
abas  be-sabab  be-jahat  rūThte  ho
yahī  to  barī  ḳhū  hai  jaanī  tumhārī
bhalā  tum  hī  munsif  ho  lillāh  bolo
vo  kyā  baat  thī  jo  na  maanī  tumhārī
vo  piirī  meñ  bhī  'rind'  dekhe  ab  aa  kar
jise  yaad  hove  javānī  tumhārī