sadme  guzre  iizā  guzrī
hijr  meñ  tere  kyā  kyā  guzrī
hijr  meñ  jaan  rahī  yā  guzrī
'riñd'  kaho  tum  par  kyā  guzrī
kyā  kahūñ  tujh  se  hāl-e-furqat
guzrī  jo  kuchh  jaanā  guzrī
ulfat-e-but  ne  kar  diyā  kāfir
ye  kyā  bār-e-ḳhudāyā  guzrī
aa.e  nahīñ  tum  arsa  guzrā
man.a  kiyā  kis  ne  kyā  guzrī
guzre  jis  dam  ham  duniyā  se
ham  ne  jaanā  duniyā  guzrī
bahr-e-jahāñ  meñ  ziist  hamārī
shakl-e-habāb-e-dariyā  guzrī
kis  se  kahiye  kaun  sunegā
kyā  kyā  guzrā  kyā  kyā  guzrī
kahtā  thā  maiñ  ishq  se  baaz  aa
dekhā  jo  dil-e-shaidā  guzrī
mar  bhī  ga.e  ham  vāh-rī  ġhaflat
un  ko  ḳhabar  bhī  na  aslā  guzrī
ab  to  hai  shaġhl-e-ḳhūñ-āshāmī
naubat-e-jām-o-mīnā  guzrī
kāfir  par  bhī  na  guzre  aisī
ham  par  jo  but-e-tarsā  guzrī
vaqt-e-marg  ye  jī  meñ  guzrā
zindagī  apnī  bejā  guzrī
naala  kaisā  aah  nahīñ  kī
kyā  kyā  tujh  bin  iizā  guzrī
TuuT  chukā  hai  rishta-e-ulfat
yaas  hai  ab  to  tamannā  guzrī
dūsrā  tujh  sā  koī  na  dekhā
pesh-e-nazar  ik  duniyā  guzrī
dekh  ke  hāl-e-marīz-e-furqat
hālat  ham  pe  masīhā  guzrī
qābil-e-dīd  na  dekhīñ  āñkheñ
muddat  nargis-e-shahlā  guzrī
ġhash  kyuuñ  aayā  ham  se  to  kahiye
kyā  kuchh  hazrat-e-mūsā  guzrī
kyūñ-kar  jhelī  āfat-e-furqat
'rind'  kaho  dil  par  kyā  guzrī