Rind Lakhnavi

nist be-yar mujhko hasti hai

Rind Lakhnavi

Faizabad, Uttar pradesh, India

1797-1857
niist be-yār mujh ko hastī hai
shahr-e-vīrāñ ujaaḌ bastī hai
hai jahāñ par mirā qadam bhārī
har qadam par zamīn dhañstī hai
vo parī saath le ke sotā huuñ
huur jis kā palañg kastī hai
hai haqīqat majāz se matlūb
but-parastī ḳhudā-parastī hai
us ke kushte haiñ zinda-e-jāved
nīstī un kī ain hastī hai
ek but ne diyā na ham ko javāb
be-zabānoñ kī hind bastī hai
ḳhāksāroñ kī hai yahī me.arāj
sar-bulandī hamārī pastī hai
hai ka.ī din se ghaat meñ sayyād
andalīb āj-kal meñ phañstī hai
is muraqqa.a kī dekh tasvīreñ
koī rotī hai koī hañstī hai
manzil-e-ishq kī hai rah hamvār
na bulandī hai yaañ na pastī hai
husn dikhlā rahā hai qudrat-e-haq
but ko bhī zauq-e-ḳhud-parastī hai
jaañ bhī de kar mile to muft samajh
har tarah jins-e-husn sastī hai
zulf us kī siyāh nāgin hai
maar rakhtī hai jis ko Dastī hai
khuleñgī āñkheñ nashsha utregā
husn tak uuprī ye mastī hai
aise jiine pe 'rind' ḳhaak paḌe
maut us zindagī pe hañstī hai
Top Urdushayar.com