yaar  aayā  hai  ahvāl-e-dil-e-zār  dikhāo
iisā  ko  zarā  hālat-e-bīmār  dikhāo
aa  jaao  bas  ab  raah  na  ai  yaar  dikhāo
mushtāq  huuñ  mushtāq  huuñ  dīdār  dikhāo
aalam  hai  so  hai  hijr  meñ  yaañ  josh-e-junūñ  kā
sahrā  mujhe  dikhlāo  ki  gulzār  dikhāo
fardā-e-qayāmat  kā  na  iqrār  karo  jaañ
lo  hashr  sahī  aaj  hī  dīdār  dikhāo
āshiq  haiñ  bahut  ek  to  chun  kar  koī  mujh  sā
pushte  kī  tarah  pusht-ba-dīvār  dikhāo
aalam  nazar  aa  jaa.e  bahār  aur  ḳhizāñ  kā
ham  zard  hoñ  tum  phuul  se  ruḳhsār  dikhāo
talvār  lagāo  mujhe  golī  se  na  maaro
til  Dhāñk  lo  aur  abru-e-ḳhamdār  dikhāo
har  dam  mutaqāzī  hai  yahī  hasrat-e-dīdār
phir  ek  nazar  jalva-e-dildār  dikhāo
farmāte  ho  āshiq  haiñ  mire  tujh  se  hazāroñ
ai  jaan  ziyāda  nahīñ  do-chār  dikhāo
ishq  abrū  o  mizhgāñ  kā  buto  saath  hai  dam  ke
ḳhanjar  mujhe  dikhlāo  ki  talvār  dikhāo
maiñ  qabr  se  bhī  'rind'  yahī  kahtā  uThūñgā
mushtāq  huuñ  mushtāq  huuñ  dīdār  dikhāo