zamāne  meñ  vo  mah-laqā  ek  hai
hazāroñ  meñ  vo  dilrubā  ek  hai
ḳhudāvand-e-arz-o-samā  ek  hai
qasam  hai  ḳhudā  kī  ḳhudā  ek  hai
barābar  hai  apnā  vajūd  o  adam
hamārī  baqā  aur  fanā  ek  hai
adam  ibtidā  hai  adam  intihā
mirī  ibtidā  intihā  ek  hai
na  hoñge  ye  hādis  rahegā  qadīm
ġharaz  sab  haiñ  faanī  baqā  ek  hai
zarā  ġhaur  se  mir.āt-e-dil  ko  dekh
ye  ā.īna-e-haq-numā  ek  hai
jinheñ  kufr  o  ilhād  kahtā  hai  shaiḳh
faqat  pher  hai  rāstā  ek  hai
jahāñ  meñ  haiñ  ġhāfil  bahut  se  tarīq
magar  rāh-e-sidq-o-safā  ek  hai
ma.āl-e-suḳhan  zikr  hai  yaar  kā
kahūñ  sau  tarah  mudda.ā  ek  hai
mahal  faqr  kā  hai  ajā.ib  maqām
yahāñ  masnad  o  boriyā  ek  hai
kahāñ  us  ke  aage  kisī  kā  faroġh
vo  ḳhurshīd-rū  mah-laqā  ek  hai
fazīlat  milī  ek  ko  ek  par
ġharaz  ek  se  yaañ  sivā  ek  hai
bachegā  na  kāvish  se  mizhgāñ  ke  dil
ki  nashtar  bahut  aabla  ek  hai
jafākār  dam-bāz  kāzib  muhīl
maiñ  vāqif  huuñ  vo  bevafā  ek  hai
hai  amboh-e-ushshāq  iisā  ke  ghar
marīz  itne  dārushshifā  ek  hai
nahīñ  bachtā  donoñ  kā  maarā  huā
tirī  zulf  aur  azhdahā  ek  hai
na  aanā  tū  us  zulf  ke  pech  meñ
are  dil  vo  kaalī  balā  ek  hai
hazāroñ  shahīd-e-mohabbat  haiñ  dafn
galī  us  kī  aur  karbalā  ek  hai
har  ik  dard  kā  hai  mudāvā  vo  lab
maraz  saikḌoñ  haiñ  davā  ek  hai
duī  ko  na  de  dil  meñ  ġhāfil  jagah
zabāñ  ek  hai  aur  ḳhudā  ek  hai
kahoge  jo  kuchh  to  sunoge  bhī  'rind'
hañsī  meñ  to  shaah  o  gadā  ek  hai