chhup  ke  ghar  ġhair  ke  jaayā  na  karo
rabt  har  ik  se  baḌhāyā  na  karo
ai  buto  baal  banāyā  na  karo
saañp  hāthoñ  pe  khelāyā  na  karo
sabza-e-ḳhat  ko  dikhāyā  na  karo
tote  hāthoñ  ke  uḌāyā  na  karo
riñd  ġham  hijr  kā  khāyā  na  karo
jaan  ko  apnī  khapāyā  na  karo
tazkira  ġhair  kā  laayā  na  karo
jale  ko  aur  jalāyā  na  karo
muñh  ko  ġhunche  ke  chiḌāyā  na  karo
gul  ko  khillī  meñ  uḌāyā  na  karo
mudda.ā  jo  ho  zabāñ  se  kaho  saaf
harf-e-matlab  ko  chabāyā  na  karo
apnā  samjho  mirā  dil  shauq  se  lo
merī  jaañ  apnā  parāyā  na  karo
mujh  ko  bhī  yaad  haiñ  fiqre  sāhib
joḌ  bande  pe  banāyā  na  karo
ḳhud  maiñ  dam-bāz  huuñ  hai  dhyān  kidhar
mujh  ko  fiqroñ  meñ  uḌāyā  na  karo
hosh  meñ  aao  parī-zādo  tum
mujh  ko  dīvāna  banāyā  na  karo
ham  lahū  thuuk  ke  mar  jā.eñge
laalī  hoñToñ  pe  jamāyā  na  karo
log  saudā.ī  hue  jaate  haiñ
dhaḌī  missī  kī  lagāyā  na  karo
ho  na  añgusht-numā  misl-e-hilāl
jaan  nauchandī  meñ  jaayā  na  karo
ai  buto  apne  ḳhudā  ko  maano
ka.aba-e-dil  ko  to  Dhāyā  na  karo
maiñ  to  hāzir  huuñ  vafādārī  meñ
tum  karo  mujh  se  vafā  yā  na  karo
dhoke  dariyā  meñ  bhabūkā  se  haath
aag  paanī  meñ  lagāyā  na  karo
mujh  se  ḳhalvat  kī  mulāqāt  rahe
roz  jalvat  meñ  bulāyā  na  karo
vāste  bande  ke  bad-nāmī  hai
jaan  sohbat  meñ  biThāyā  na  karo
dekhne  vāloñ  kī  jānib  dekho
is  tarah  aañkh  churāyā  na  karo
sharm  bejā  hai  burā  karte  ho
achchhī  sūrat  ko  chhupāyā  na  karo
jaao  dariyā  pe  na  tum  ġhair  ke  saath
aise  meñDhe  to  laḌāyā  na  karo
daañt  piisā  na  karo  āshiq  par
jaan  yuuñ  hoñTh  chabāyā  na  karo
chaar  din  vasl  meñ  hañs  lene  do
aaTh  aaTh  aañsū  rulāyā  na  karo
log  bad-vaza.a  kaheñge  tum  ko
mele-Thele  kabhī  jaayā  na  karo
jaan  kis  kaam  kā  ye  bholā-pan
dam  meñ  har  ek  ke  aayā  na  karo
āshiqoñ  kī  burī  gat  hotī  hai
tum  sitārī  to  bajāyā  na  karo
hazrat-e-dil  yahī  farmāte  haiñ
ishq-e-ma.ashūq  chhupāyā  na  karo
ḳhush  nahīñ  aatā  agar  merā  kalām
to  ġhazal  bhī  mirī  gaayā  na  karo
thāmo  ab  qabza-e-shamshīr  ai  'rind'
koft  par  koft  uThāyā  na  karo