ye  jo  sūraj  hai  ye  sūraj  bhī  kahāñ  thā  pahle
barf  se  uThtā  huā  ek  dhuāñ  thā  pahle
mujh  se  ābād  huī  hai  tirī  duniyā  varna
is  ḳharābe  meñ  koī  aur  kahāñ  thā  pahle
ek  hī  dā.ere  meñ  qaid  haiñ  ham  log  yahāñ
ab  jahāñ  tum  ho  koī  aur  vahāñ  thā  pahle
us  ko  ham  jaise  ka.ī  mil  ga.e  majnūñ  varna
ishq  logoñ  ke  liye  kār-e-ziyāñ  thā  pahle
ye  jo  ab  ret  nazar  aatā  hai  afzal  'gauhar'
isī  dariyā  meñ  kabhī  āb-e-ravāñ  thā  pahle