P P Srivastava Rind

nashat-e-dard ke mausam mein gar nami kam hai

P P Srivastava Rind

1950
nashāt-e-dard ke mausam meñ gar namī kam hai
fazā ke barg-e-shafaq par bhī tāzgī kam hai
sarāb ban ke ḳhalāoñ meñ gum nazāra-e-samt
mujhe lagā ki ḳhalāoñ meñ raushnī kam hai
ajiib log haiñ kāñToñ pe phuul rakhte haiñ
ye jānte hue in meñ muqaddarī kam hai
na koī ḳhvāb na yādoñ kā be-karāñ sā hujūm
udaas raat ke ḳheme meñ dilkashī kam hai
maiñ apne-āp meñ bikhrā huā huuñ muddat se
agar maiñ ḳhud ko sameTūñ to zindagī kam hai
khulī chhatoñ pe dupaTTe havā meñ uḌte nahīñ
tumhāre shahr meñ kyā āsmān bhī kam hai
purānī soch ko samjheñ to koī baat bane
jadīd fikr meñ ehsās-e-naġhmagī kam hai
kahāñ se lāoge ai 'rind' mo'tabar mazmūn
ġhazal meñ jabki rivāyat kī chāshnī kam hai
Top Urdushayar.com