har  aa.ine  meñ  tirā  hī  dhuāñ  dikhā.ī  diyā
mirā  vajūd  hī  mujh  ko  kahāñ  dikhā.ī  diyā
ye  kaisī  dhuup  ke  mausam  meñ  ghar  se  niklā  huuñ
ki  har  parinda  mujhe  sā.ebāñ  dikhā.ī  diyā
maiñ  apnī  lahr  meñ  lipTā  huā  samundar  huuñ
maiñ  kyā  karūñ  jo  tirā  bādbāñ  dikhā.ī  diyā
kahā  hī  thā  ki  salām  ai  imām-e-ālī-maqām
hamārī  pyaas  ko  āb-e-ravāñ  dikhā.ī  diyā
mirī  nazar  to  ḳhalāoñ  ne  bāñdh  rakkhī  thī
mujhe  zamīñ  se  kahāñ  āsmāñ  dikhā.ī  diyā