naav  ḳhasta  bhī  na  thī  mauj  meñ  dariyā  bhī  na  thā
paar  utartā  thā  magar  tujh  pe  bharosa  bhī  na  thā
zindagī  haath  na  de  paa.ī  mire  hāthoñ  meñ
saath  jaanā  bhī  na  thā  haath  chhuḌānā  bhī  na  thā
jin  pe  ik  umr  chalā  thā  unhī  rastoñ  pe  kahīñ
vāpas  aayā  to  mirā  naqsh-e-kaf-e-pā  bhī  na  thā
ġharq-e-duniyā  ke  liye  dast-e-duā  kyā  uThte
koī  is  ghar  meñ  duā  māñgne  vaalā  bhī  na  thā
har  koī  merā  ḳharīdār  nazar  aayā  mujhe
chaak  par  maiñ  ne  abhī  ḳhud  ko  ubhārā  bhī  na  thā
phailtā  jaatā  hai  har  saañs  rag  o  pai  meñ  'najīb'
ek  sahrā  jo  abhī  raah  meñ  aayā  bhī  na  thā