terī  duniyā  se  ye  dil  is  liye  ghabrātā  hai
is  sarā.e  meñ  koī  aatā  koī  jaatā  hai
tū  ne  kyā  dil  kī  jagah  rakkhā  hai  patthar  mujh  meñ
ġham  se  bhar  jā.ūñ  bhī  to  ronā  nahīñ  aatā  hai
vo  mire  ishq  kī  gahrā.ī  samajhtā  hī  nahīñ
rāsta  duur  talak  jaa.e  to  bal  khātā  hai
phir  bhalā  kis  ke  liye  itnī  chamaktī  hai  ye  ret
koī  dariyā  bhī  nahīñ  hai  jo  kahīñ  jaatā  hai
us  ke  hāthoñ  meñ  vo  parkār  hai  jis  se  'gauhar'
ghuum  jaatī  hai  zamīñ  āsmāñ  chakrātā  hai