dil  ko  har  gaam  pe  dhaḌke  se  lage  rahte  haiñ
tujh  ko  kho  dene  ke  ḳhadshe  se  lage  rahte  haiñ
sar  to  kaT  jaate  haiñ  jismoñ  se  magar  sadiyoñ  tak
ḳhaak  par  ḳhuun  ke  dhabbe  se  lage  rahte  haiñ
jhaaḌ  poñchh  ek  mire  kaam  nahīñ  aa  paa.ī
dar-o-dīvār  pe  jaale  se  lage  rahte  haiñ
pyaas  uḌtī  hai  lab-e-hijr  pe  mānind-e-ġhubār
vasl  kī  jhiil  pe  pahre  se  lage  rahte  haiñ
dasht  se  shahr  meñ  tanhā.ī  ke  Dar  le  aa.e
shahr  meñ  bhī  yahī  khaTke  se  lage  rahte  haiñ
ḳhvāb  jo  dekhā  nahīñ  ham  ne  sar-e-ḳhvāb  'najīb'
is  kī  ta.abīr  ke  dhaḌke  se  lage  rahte  haiñ