Najeeb Ahmad

andhe badan mein ye sahar-asar kaun hai

Najeeb Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1948

andhe badan meñ ye sahar-āsār kaun hai

bhī nahīñ to mujh meñ sharar-bār kaun hai

vo kaun hai jo jāgtā hai merī niiñd meñ

asrār maiñ huuñ sāhab-e-asrār kaun hai

kis ne vafā ke naam pe dhokā diyā mujhe

kis se kahūñ ki merā gunahgār kaun hai

sab ne gale lagā ke gale se judā kiyā

pahchān nahīñ ki riyā-kār kaun hai

phir yuuñ huā ki mujh pe dīvār gir paḌī

lekin na khul sakā pas-e-dīvār kaun hai

merī sadā meñ kis sadā.eñ haiñ maujzan

naddī huuñ maiñ agar to mire paar kaun hai

mahbūs sab haiñ maslahatoñ ke hisār meñ

lekin ḳhud apnī dhun giraftār kaun hai

har aañkh meñ 'najīb' haiñ sapne base hue

is jāgte dayār meñ bedār kaun hai

Top Urdushayar.com