Najeeb Ahmad

kiran to ghar ke andar aa gai thi

Najeeb Ahmad

Amritsar, Punjab, India

1948

kiran to ghar ke andar aa ga.ī thī

sunahrī dhuup kyuuñ kajlā ga.ī thī

kuchh aisī be-hisī se pesh aayā

ki merī be-kasī sharmā ga.ī thī

chhanākā to mire andar huā thā

tirī āvāz kyuuñ bharrā ga.ī thī

vahī rishte vahī naate vahī ġham

badan se ruuh tak uktā ga.ī thī

janam kar janam paayā na maiñ ne

mujhe lafzoñ nāgan khā ga.ī thī

thakan meñ Dhal gayā lahja kisī

mirī ḳhvāhish ko bhī niiñd aa ga.ī thī

vo chiñgārī huā bāñheñ bikhere

lipaT kar mujh ko bhī jhulsā ga.ī thī

vo kab andar thā jo bāhar na aayā

'najīb' ik baat kyā samjhā ga.ī thī

Top Urdushayar.com