kuchh  is  ke  sivā  ḳhvāhish-e-sāda  nahīñ  rakhte
ham  tujh  se  bichhaḌne  kā  irāda  nahīñ  rakhte
kab  dil  kī  taraf  lauT  ke  ā.eñge  safīne
sahrā  ke  bagūle  ġham-e-jāda  nahīñ  rakhte
kyā  ḳhaak  simaT  pā.eñge  duniyā  ke  bakheḌe
ham  log  to  dāman  bhī  kushāda  nahīñ  rakhte
uḌ  jā.eñge  ham  bhī  varaq-e-ḳhāk  se  ik  din
rañgoñ  ke  sivā  koī  libāda  nahīñ  rakhte
har  aañkh  ko  ham  sāġhar-o-mīnā  nahīñ  kahte
har  aañkh  pe  ham  tohmat-e-bāda  nahīñ  rakhte
qaa.em  bharam  apnā  hai  asīrī  se  vagarna
ham  tāqat-e-parvāz  ziyāda  nahīñ  rakhte