sab  ko  batā  rahā  huuñ  yahī  saaf  saaf  maiñ
jalte  diye  se  kaise  karūñ  inhirāf  meñ
maiñ  ne  to  āsmān  ke  rañgoñ  kī  baat  kī
kahne  lagī  zamīn  badal  duuñ  ġhilāf  meñ
gumrāh  kab  kiyā  hai  kisī  raah  ne  mujhe
chalne  lagā  huuñ  aap  hī  apne  ḳhilāf  meñ
miltā  nahīñ  hai  phir  bhī  sirā  āsmān  kā
kar  kar  ke  thak  chukā  huuñ  zamīñ  kā  tavāf  meñ
ab  tū  bhī  aa.ine  kī  tarah  bolne  lagā
patthar  se  bhar  na  duuñ  tire  muñh  kā  shigāf  meñ