har  mauqe  kī  har  rishte  kī  Dher  nishānī  us  ke  paas
album  ke  har  ik  photo  kī  ek  kahānī  us  ke  paas
shahr  vo  sāhūkār  hai  jis  ko  kos  rahā  hai  har  koī
ye  sach  bhī  sab  ko  ma.alūm  hai  dāna-pānī  us  ke  paas
ammāñ  kī  bātoñ  meñ  āñkheñ  sukh-dukh  sapne  sab  to  haiñ
rām-kahānī  us  ke  paas  kabira-bānī  us  ke  paas
ka.ī  ḳhazāne  qisse  vaale  ik  bachche  ke  paas  mile
daadā  daadī  us  ke  paas  naanā  naanī  us  ke  paas
soch  rahā  huuñ  gaañv  meñ  jā  kar  kuchh  din  ab  ārām  karūñ
vahīñ  kahīñ  par  rakh  aayā  huuñ  niiñd  purānī  us  ke  paas