jhuuT  kahūñ  to  dil  tayyār  nahīñ  hotā
sach  se  lekin  beḌā  paar  nahīñ  hotā
aap  naf.a  meñ  ḳhush  haiñ  ham  ghāTe  meñ  ḳhush
rishtoñ  kā  ham  se  bevpār  nahīñ  hotā
raam  kī  shabrī  jañgal  meñ  to  rahtī  hai
beroñ  par  us  kā  adhikār  nahīñ  hotā
sab  keval  apnī  kamzorī  jiite  haiñ
rishta  to  koī  bīmār  nahīñ  hotā
sunñā  sahnā  chup  rahnā  phir  hañsnā  bhī
ḳhud  pe  itnā  attyāchār  nahīñ  hotā
ḳhud  se  Darnā  kashtī  pe  bhī  shak  karnā
ab  aise  to  dariyā  paar  nahīñ  hotā
ye  sach  hai  vo  har  hafte  hī  aatā  hai
sab  kī  qismat  meñ  itvār  nahīñ  hotā
sīdhe  sachche  achchhe  bhī  haiñ  log  bahut
kaise  likh  duuñ  do  do  chaar  nahīñ  hotā