maiñ  apnī  zaat  meñ  jab  se  sitārā  hone  lagā
phir  ik  charāġh  se  merā  guzārā  hone  lagā
mirī  chamak  ke  nazāre  ko  chāhiye  kuchh  aur
maiñ  aa.ine  pe  kahāñ  āshkārā  hone  lagā
ye  kaisī  barf  se  us  ne  bhigo  diyā  hai  mujhe
pahāḌ  jaisā  mirā  jism  gaarā  hone  lagā
zamīñ  se  maiñ  ne  abhī  eḌiyāñ  uThā.ī  thiiñ
ki  āsmān  kā  mujh  ko  nazāra  hone  lagā
ajiib  sūr-e-sarāfīl  us  ne  phūñk  diyā
pahāḌ  apnī  jagah  paara  paara  hone  lagā
maiñ  ek  ishq  meñ  nākām  kyā  huā  'gauhar'
har  ek  kaam  meñ  mujh  ko  ḳhasārā  hone  lagā