kaise  kah  detā  koī  kirdār  chhoTā  paḌ  gayā
jab  kahānī  meñ  likhā  aḳhbār  chhoTā  paḌ  gayā
sādgī  kā  nuur  chehre  se  Tapaktā  hai  huzūr
maiñ  ne  dekhā  jauharī  bāzār  chhoTā  paḌ  gayā
muskurāhaT  le  ke  aayā  thā  vo  sab  ke  vāste
itnī  ḳhushiyāñ  aa  ga.iiñ  ghar-bār  chhoTā  paḌ  gayā
darjanoñ  qisse-kahānī  ḳhud  hī  chal  kar  aa  ga.e
us  se  jab  bhī  maiñ  milā  itvār  chhoTā  paḌ  gayā
ik  bharosa  hī  mirā  mujh  se  sadā  laḌtā  rahā
haañ  ye  sach  hai  us  se  maiñ  har  baar  chhoTā  paḌ  gayā
us  ne  to  ehsās  ke  badle  meñ  sab  kuchh  de  diyā
fā.ede  nuqsān  kā  bevpār  chhoTā  paḌ  gayā
ghar  meñ  kamre  baḌh  ga.e  lekin  jagah  sab  kho  ga.ī
buildingeñ  ūñchī  huī  aur  pyaar  chhoTā  paḌ  gayā
gaañv  kā  bichhḌā  koī  rishta  shahr  meñ  jab  milā
rūpaya  dollar  ho  ki  dīnār  chhoTā  paḌ  gayā
mere  sir  par  haath  rakh  kar  mushkileñ  sab  le  gayā
ik  duā  ke  sāmne  har  vaar  chhoTā  paḌ  gayā
chāhatoñ  kī  uñgliyoñ  ne  us  kā  kāñdhā  chhū  liyā
sone  chāñdī  motiyoñ  kā  haar  chhoTā  paḌ  gayā