subah  se  raat  tak  ghar  meñ  baTī  hai
zarā  sā  chheḌ  do  to  hañs  paḌī  hai
koī  ehsās  jab  kāñdhā  chhue  to
ḳhushī  se  agle  hī  pal  ro  paḌī  hai
koī  mushkil  meñ  ho  aage  dukhī  hai
ki  us  ke  haath  meñ  jādū-chhaḌī  hai
bahut  rotī  hai  par  tanhā.ī  meñ
sabhī  rishtoñ  kī  vo  tāqat  banī  hai
maiñ  us  kī  tilmilāhaT  dekhtā  huuñ
kisī  ne  baat  jab  jhūTī  kahī  hai
use  mahsūs  kartā  huuñ  maiñ  jitnā
vo  us  se  aur  bhī  gahrī  milī  hai
bharosa  jaise  jaise  baḌh  rahā  hai
ka.ī  partoñ  meñ  vo  khulne  lagī  hai
chamak  chehre  pe  us  ke  lauT  aa.ī
koī  ummīd  kī  lau  jal  uThī  hai