ye  jo  ik  laḌkī  pe  haiñ  taināt  pahre-dār  sau
dekhtī  haiñ  us  kī  āñkheñ  bheḌiye  ḳhūñ-ḳhvār  sau
diqqateñ  akasr  vo  merī  bāñTtī  hai  is  tarah
apne  bakse  se  nikālegī  abhī  do  chaar  sau
ā.eñgī  jab  mushkileñ  to  vo  bacha  legā  mujhe
ik  bharosa  degā  aur  karvā.egā  begār  sau
race  meñ  hogī  saḌak  par  zindagī  kī  gāḌiyāñ
ek  assī  par  chalegī  ek  kī  raftār  sau
kitnā  mushkil  kaam  hai  achchhā.iyoñ  ko  DhūñDhnā
yuuñ  to  ḳhabroñ  se  bhare  haiñ  roz  hī  aḳhbār  sau