rishte  ke  uljhe  dhāgoñ  ko  dhīre  dhīre  khol  rahī  hai
biTiyā  kuchh  kuchh  bol  rahī  hai  puure  ghar  meñ  Dol  rahī  hai
dil  ke  kahe  se  āñkhoñ  ne  bāzār  meñ  ik  sāmān  chunā  hai
haath  bechārā  soch  rahā  hai  jeb  bhī  ḳhud  ko  tol  rahī  hai
raat  kī  āñkheñ  bāñch  rahā  huuñ  kuchh  kuchh  to  maiñ  bhāñp  rahā  huuñ
kuchh  kuchh  andar  soch  rahī  hai  kuchh  kuchh  bāhar  bol  rahī  hai
ek  akelā  kuchh  bhī  bole  kaun  shahr  meñ  us  kī  suntā
peḌ  pe  ek  akelī  bulbul  jañgal  meñ  ras  ghol  rahī  hai
jab  bhī  ḳhud  ke  haath  jale  tab  baat  ye  sab  ko  yaad  aatī  hai
bachpan  meñ  jo  siikh  milī  thī  ab  tak  vo  anmol  rahī  hai