ummīdoñ  ke  panchhī  ke  par  nikleñge
mere  bachche  mujh  se  behtar  nikleñge
laxman-rekhā  bhī  āḳhir  kyā  kar  legī
saare  rāvan  ghar  ke  andar  nikleñge
dil  to  station  ke  raste  chalā  gayā
paañv  hamāre  thoḌā  so  kar  nikleñge
achchhī  achchhī  bāteñ  to  sab  karte  haiñ
in  meñ  se  hī  bad  se  bad-tar  nikleñge
bāzāroñ  ke  dastūroñ  se  vāqif  haiñ
saare  aañsū  andar  Dhak  kar  nikleñge
dil  vaale  to  aahaT  par  chal  dete  haiñ
aql  ke  bande  soch-samajh  kar  nikleñge