isī  liye  bhī  na.e  safar  se  bañdhe  hue  haiñ
ki  ham  parinde  to  bāl-o-par  se  bañdhe  hue  haiñ
tumheñ  hī  sahrā  sambhālne  kī  paḌī  huī  hai
nikal  ke  ghar  se  bhī  ham  to  ghar  se  bañdhe  hue  haiñ
kisī  ne  din  meñ  tamām  chhāñv  utaar  lī  hai
ye  barg  o  gul  to  yūñhī  shajar  se  bañdhe  hue  haiñ
yahāñ  bhalā  kaun  apnī  marzī  se  jī  rahā  hai
sabhī  ishāre  tirī  nazar  se  bañdhe  hue  haiñ
sagān-e-kūcha-e-dilbarāñ  kī  misāl  ham  to
rihā  bhī  ho  kar  kisī  ke  dar  se  bañdhe  hue  haiñ
zamīn  ḳhud  ham  ko  khīñchtī  phir  rahī  hai  'gauhar'
ajiib  aalam  meñ  rahguzar  se  bañdhe  hue  haiñ