chāñdī  kā  badan  sone  kā  man  DhūñD  rahā  hai
auroñ  maiñ  hī  achchhā.ī  kā  dhan  DhūñDh  rahā  hai
kuchh  peḌ  haiñ  nafrat  kī  havā  jin  se  baḌhī  hai
ye  baaġh  magar  ab  bhī  aman  DhūñD  rahā  hai
sañgam  ke  ilāqe  se  hai  pahchān  hamārī
ye  dil  to  vahī  gañg-o-jaman  DhūñD  rahā  hai
anjān  se  ik  ḳhauf  ko  Dhotā  huā  insān
apne  ko  bachāne  kā  jatan  DhūñD  rahā  hai
gaañv  ke  har  ik  ḳhvāb  meñ  shahroñ  kī  kahānī
shahroñ  meñ  jise  dekho  vatan  DhūñD  rahā  hai
logoñ  ne  yahāñ  raam  se  sīkhā  to  yahī  bas
har  shaḳhs  hī  sone  kā  hiran  DhūñD  rahā  hai