mere  bachche  fuTpāthoñ  se  adlā-badlī  kar  aa.e  haiñ
chand  khilaune  de  aa.e  haiñ  Dheroñ  ḳhushiyāñ  ghar  laa.e  haiñ
sūkhā,  bārish  ke  māroñ  kā  dukh  kab  jā  kar  ḳhatm  huā
sūraj  dekh  ke  Dar  jaa.e  haiñ  bādal  dekh  ke  ghabrā.e  haiñ
mere  jaise  maañg  sakeñ  kuchh  kitnā  mushkil  hotā  hai
sakuchā.e  haiñ  sharmā.e  haiñ  ghabrā.e  haiñ  haklā.e  haiñ
sab  ke  hisse  ek  sifar  thā  raaja  rañk  barābar  the
jo  bhī  the  sab  joḌ  rahe  the  kyā  kho.e  kyā  paa.e  haiñ
bachchoñ  meñ  ehsās  ke  paude  jo  ham  ne  tab  rop  diye  the
duniyā  vāloñ  aao  dekho  ab  us  meñ  phal  aa.e  haiñ
us  kī  bātoñ  meñ  ye  jo  chiñgārī  chamkā  kartī  haiñ
us  ke  dil  ke  andar  jaane  kitne  patthar  Takrā.e  haiñ