Mahir Abdul Hayee

dil ka sarmaya liye tu bhi koi bazar dekh

Mahir Abdul Hayee

Maunath Bhanjan, Uttar pradesh, India

dil kā sarmāya liye tū bhī koī bāzār dekh
tere dushman kā chamak uTThā hai kārobār dekh
jis pe chalne kā sila hai manzil-e-amn-o-sukūñ
khīñch dī hai vaqt ne us raah meñ dīvār dekh
rūh-e-tāza kaun phūñkegā tan-e-be-rūh meñ
lashkar-e-darmāndagāñ hai be-sipah-sālār dekh
hijratoñ ke silsile baaqī haiñ duniyā meñ abhī
lekin ab DhūñDe se bhī milte nahīñ ansār dekh
jaan de kar jaan lī tū ne bhalā ye kyā kiyā
terī qurbānī huī mere gale kā haar dekh
jis kī ḳhushbū se mo.attar hai mashām-e-zindagī
be-vaqār-e-vazn phirtā hai vo nāfa-dār dekh
ai sarāpā-sham.a bazm-e-māh-o-anjum se nikal
kin añdheroñ ko hai terī raushnī darkār dekh
dāman-e-dil bhar ke le jaate haiñ arbāb-e-nazar
be-navā darvesh kā darbār hai darbār dekh
kis ke roke se rukī hai gardish-e-lail-o-nahār
zulmat-e-shab ke pujārī sub.h ke āsār dekh
kab talak gā.egā 'māhir' azmat-e-māzī ke giit
asr-e-nau kī roz-afzūñ garmī-e-bāzār dekh
Top Urdushayar.com