maiñ  ḳhud  ko  is  liye  manzar  pe  laane  vaalā  nahīñ
ki  aa.ina  mirī  sūrat  dikhāne  vaalā  nahīñ
tire  falak  kā  agar  chāñd  bujh  gayā  hai  to  kyā
diyā  zamīñ  pe  bhī  koī  jalāne  vaalā  nahīñ
samundaroñ  kī  taraf  jā  rahā  huuñ  jaltā  huā
ki  merī  aag  ko  bādal  bujhāne  vaalā  nahīñ
ye  kaun  niind  meñ  aakar  sirhāne  baiTh  gayā
maiñ  apnā  ḳhvāb  kisī  ko  batāne  vaalā  nahīñ
ab  is  qadar  bhī  takalluf  se  mil  rahe  ho  kyuuñ
tumhāre  saath  to  rishta  zamāne  vaalā  nahīñ
kamar  kamān  huī  jā  rahī  yuuñ  'gauhar'
maiñ  jaise  ḳhud  ko  dobāra  uThāne  vaalā  nahīñ