shikast  khā  ke  bhī  kab  hausle  haiñ  kam  mere
mire  kaTe  hue  hāthoñ  meñ  haiñ  alam  mere
panāh-gāh  mujhe  bhī  to  saur  jaisī  de
mirī  talāsh  meñ  dushman  haiñ  tāza-dam  mere
tujhe  maiñ  kaise  batā.ūñ  kahāñ  se  kaisā  huuñ
ulajh  rahe  haiñ  ba-dastūr  pech-o-ḳham  mere
kis  āsmān  kī  vus.at  talāsh  karte  hue
zamīñ  se  duur  nikal  aa.e  haiñ  qadam  mere
tū  ye  savāl  bhī  ab  dajla  o  furāt  se  pūchh
maiñ  kyā  batā.ūñ  kahāñ  luT  ga.e  haram  mere
jamī  rahī  hai  chaTānoñ  pe  barf  sadiyoñ  tak
to  jā  ke  phir  kahīñ  patthar  hue  haiñ  nam  mere